Powered By Blogger

Wednesday, October 6, 2010

A poem by Zehra Nigah

 Suna hai jungalon ka bhi koi dastur hota hai!!!



Suna hai Jungalon ka bhi koi dastuur hota hai!
Suna hai sher ka bhi jab pait bhar jae to wo,
hamla nahi kerta!
Suna haijab kisi naddi k pani men
baye k ghonslay ka gandumi saya larazta hai,
to naddi ki ro.peli machlian usko
parosi maan leti hain!
Hawa kkay taiz jhonke jab darakhton ko hilate hain
to mena apne ghar ko bhool ker
kawway k andon ko paron men thaam leti hai,
Suna hai ghonsaly se jab koi bacha giray to
sara jungle jaag jata hai!
Naddi men baar ajae, koi pul toot jae to
kisi lakri k takhtay per
gulehri, sanp, cheetah aur bakri
sath hote hain!
Suna hai jungalon ka bhi koi dastur hai.
Khudawanda, Jaleel o Mautber, Dana o Bina, Munsif o Akbar,
hamare shehar men ab
Jungalon ka hi koi dastuur naafiz kar !!

No comments:

Post a Comment